Chapter 1:
AzkaarIn this chapter, you will read: Hamd, Na’at, Asma-ul-Husna, Azkaar that are routinely recited on Thursday night and different Du’as.
Hamd Baari Ta’aala
Dard-e-Dil ker mujhay ‘ata Ya Rab
Dard-e-Dil ker mujhay ‘ata Ya Rab
Day mayray dard ki dawa Ya Rab
Laaj rakh lay gunahgaraun ki
Naam Rahman hay tayra Ya Rab
Bay sabab bakhsh day na pooch ‘amal
Naam Ghaffar hay tayra Ya Rab
Tees kam ho na dard-e-ulfat ki
Dil tarapta rahay mayra Ya Rab
Tu nay jab say suna diya Ya Rab
Aasira ham gunahgaraun ka
Aur mazboot ho gaya Ya Rab
Tu nay mayray zaleel hathaun mayn
Daaman-e-Mustafa diya Ya Rab
Her bhalay ki bhala`ee ka sadaqah
Is buray ko bhi ker bhala Ya Rab
Mujhay dono jahan kay gham say bacha
Shaad rakh shaad-e-da`imma Ya Rab
Dushmano kay liye hidayat ki
Tujh say karta ho iltijah Ya Rab
Tu Hasan ko utha hasan ker kay
Hu ma’-al-khayr khatimah Ya Rab
Day mayray dard ki dawa Ya Rab
Laaj rakh lay gunahgaraun ki
Naam Rahman hay tayra Ya Rab
Bay sabab bakhsh day na pooch ‘amal
Naam Ghaffar hay tayra Ya Rab
Tees kam ho na dard-e-ulfat ki
Dil tarapta rahay mayra Ya Rab
Tu nay jab say suna diya Ya Rab
Aasira ham gunahgaraun ka
Aur mazboot ho gaya Ya Rab
Tu nay mayray zaleel hathaun mayn
Daaman-e-Mustafa diya Ya Rab
Her bhalay ki bhala`ee ka sadaqah
Is buray ko bhi ker bhala Ya Rab
Mujhay dono jahan kay gham say bacha
Shaad rakh shaad-e-da`imma Ya Rab
Dushmano kay liye hidayat ki
Tujh say karta ho iltijah Ya Rab
Tu Hasan ko utha hasan ker kay
Hu ma’-al-khayr khatimah Ya Rab
Na’at-e-Mustafa
Qasidah-e-Noor
Subh Taybah mayn huyi batta hay baara Noor ka
Sadaqah laynay noor ka aaya hay taara Noor ka
••••
Bagh-e-Taybah mayn suhana phool phoola Noor ka
Mast-e-boo hayn bulbulayn perhti hayn kalimah Noor ka
••••
Barhween kay chand ka mujra hay sajdah Noor ka
Bara burjaun say jhuka aik aik sitarah Noor ka
••••
Mayn gada tu badshah bhar day piyala Noor ka
Noor din doona tayra day dal sadaqah Noor ka
••••
Taj walay daykh ker tayra ‘Imamah Noor ka
Sar jhukatay hayn Ilahi bol bala Noor ka
••••
Jo gada daykho liye jata hay tora Noor ka
Noor ki Sarkar hay kya is mayn tora Noor ka
••••
Bheek lay Sarkar say la jald kaasah Noor ka
Mah-e-Nau Taybah mayn bat-ta hay maheena Noor ka
••••
Tayri nasl-e-pak mayn hay bachchah bachchah Noor ka
Tu hay ‘ayn-e-noor tayra sab gharanah Noor ka
••••
Noor ki Sarkar say paaya dau shalah Noor ka
Ho mubarak tum ko Zun-Nurayn jaura Noor ka
••••
Chand jhuk jata jidher ungli uthatay mahad mayn
Kya hi chalta tha isharaun per khilona Noor ka
••••
Ay Raza yeh Ahmad-e-Noori ka fayz-e-Noor hay
Ho gayi mayri ghazal berh ker qasidah noor ka
••••
0 comments:
Post a Comment